qateele taygh-o-sina la ilaha illalla
tere baghair kahan la ilaha illalla
hussain dehr may islam ki alamat hai
hussain waqt ki sabse badi zaroorat hai
hussain ism tera wird hai ibadat hai
tera lahoo may nihan la ilaha illalla
qateele taygh o sina…
hussain tujhse baqa deen ki nabuwat ki
hussain tune rakhi aabroo shariyat ki
hussain tune kamar tod'di shakawat ki
tere sabab hai ayan la ilaha illalla
qateele taygh o sina…
kisi zaeef ki nazron may yun nahi dekha
ke aediyon ko ragadta hai naujawan beta
ulat ke aasteen kehke ya ali maula
tu kheenchta hai sina la ilaha illalla
qateele taygh o sina…
niraali shaan se marne ko har jawan gaya
khuda ke deen pe mitne ko har jawan gaya
mila jo izn to ladne ko har jawan gaya
magar wo shere jawan la ilaha illalla
qateele taygh o sina…
bapa hai shore fughan saare aasmano par
ajeeb yaas hai ahle haram ke chehro par
pidar ke hukm pe masoom khushk honton par
jo phayrta hai zuban la ilaha illalla
qateele taygh o sina…
damishq ki wo sajawat ke jaise har ghar eid
ali ki betiyan darbare shaam aur wo yazeed
wo chaube khusk wo sarwar ka sar wo zulm shadeed
laraz raha hai jahan la ilaha illalla
qateele taygh o sina…
jahan bhi majlise sarwar ho shore matam ho
maray to qabr may shahid bas ek ye gham ho
ye saans aaye ke ruk jaye aankh purnam ho
fida ho tujpe jahan la ilaha illalla
qateele taygh o sina…