raat hoti hai to rone ki sada aati hai
kisi bibi ke tadapne ki sada aati hai
khaali gehwara hilaate hue shayad maa ko
dile asghar ke dhadakne ki sada aati hai
raat hoti hai to...
yun to barchi ali akbar ke kaleje mein lagi
khalb mein sheh ke utarne ki sada aati hai
raat hoti hai to...
kaan ke dard se bachi koi jaagi hogi
neend se chaunk ke rone ki sada aati hai
raat hoti hai to...
sogayi qabr mein masoom sehm kar lekin
shimr ke ab bhi ghurakne ki sada aati hai
raat hoti hai to...
ek bemaar pata poochti nikli ghar se
khaafla shehr mein aane ki sada aati hai
raat hoti hai to...
laashe be-sar tere seene se lipat kar kiski
hichkiyan leke sisakne ki sada aati hai
raat hoti hai to...
maa ki turbat pe akeli hi gayi hai zainab
haale darbar sunane ki sada aati hai
raat hoti hai to...
shaahe deen jhoom ke girte hai zameen par shahid
aasman tooth ke girne ki sada aati hai
raat hoti hai to...