tu la-yazalo lamyazal hai aadil-o-qadeem hai
sagheer hai kabeer hai haseeb hai kareem hai
jaleel hai nabeel hai khareeb hai aleem hai
khuda-e-zuljalaal tera aitbaar hai hussain
zameen par zameer-o-zarf ki pukar hai hussain
ya khuda ya hussain ya khuda ya hussain
mere khuda tera nabi habeeb-o-sadiq-o-ameen
bisaat-e-kaayenat par wo tajdaare mursaleen
wohi hai noor-e-awwali wohi hai aql-e-awwali
usi rasoole haq ke deen ka hisar hai hussain
saji hai jis'se bazme kun wo zar nigaar hai hussain
ya rasool ya hussain ya rasool ya hussain
habeeb-e-kirdigaar ka shareek-e-kaar murtuza
ke jis ki nasl mein chala hidayaton ka silsila
koi usay wali kahe koi usay kahe khuda
usi ali ki be-nayam zulfiqar hai hussain
jo maut par jhapat pade wo shehsawaar hai hussain
ya ali ya hussain ya ali ya hussain
ali ke ghar ki zayb-o-zayn gham gusar fatema
wo shaami-e-mubahila bhi aur markaze kisa
fidak pe apne haq ko jis ne be-jhijak talab kiya
usi batool ka sukoon hai kharaar hai hussain
usi ki tarbiyat ka ek shaahkaar hai hussain
ya batool ya hussain ya batool ya hussain
wo sayyeda ki parwarish ka ek aaina hassan
ali she-aar mustufa mizaaj e teergi shikan
kuja ameer-e-shaam aur kuja imam-e-kam sukhan
usi hassan ke sabr-o-zabt ka nikhaar hai hussain
shadeed habs mein hawaye khushgawar hai hussain
ya hassan ya hussain ya hassan ya hussain
hassan ek saath ay hussain tu bhi syed-e-arab
fazeelaton ke baab mein hai tu bhi haashmi lakhab
hussain sab se mohtabar hai tera shajra-e-nasab
sadaf mein jo bhi hai gohar wo aabdar hai hussain
ke tera khanwada sab se shandaar hai hussain
ya hussain ya hussain ya hussain ya hussain
hussain kul payambaro ki mehnato ka naam hai
hussain se azaan hai sujood hai qayam hai
hussain tujh pe hashr tak durood hai salaam hai
nizam-e-dehr ka tujhi pa inhisar hai hussain
mashiyat-e-khuda ka tujh ko ikhtiyar hai hussain
ya hussain ya hussain ya hussain ya hussain
hussain teri thokaro mein masnad-e-yazeed hai
hussain tere gham mein jis ne jaan di shaheed hai
hussain tera munharif layeen hai paleed hai
jahan mein nasle shimr ab bhi barqarar hai hussain
ke jisko tera tazkira bhi nagawaar hai hussain
ya hussain ya hussain ya hussain ya hussain
chali jo teri taygh kufr moo chupa ke reh gaya
yame furaat mein mulukiyat ka qasr beh gaya
zameer-e-muftiyane deen farosh bhi ye keh gaya
payambarana azmaton ka wirsadar hai hussain
bina-e-la ilaha deen-e-kirdigaar hai hussain
ya hussain ya hussain ya hussain ya hussain
sabeel taaziye alam juloos-o-matame aza
majaal hai jo ruk sake ye majlison ka silsila
sabab is ehtimam ka fakhat dua-e-sayyeda
har ek bargah teri yadgaar hai hussain
zameen par har dayar ab tera dayar hai hussain
ya hussain ya hussain ya hussain ya hussain
yazidiyat ko rond kar basayi tune karbala
lahoo ki boond boond par banayi tune karbala
mata-e-tishnagi liye sajayi tune karbala
har ek zehn-e-hur pe tera iqtedaar hai hussain
qadam qadam pe sabr tera aashkaar hai hussain
ya hussain ya hussain ya hussain ya hussain
shabihe mustafa ke qalb mein sina utar gayi
kate jo baazu e jari to alqama bhi ro padi
chala jo naawak-e-sitam to zindagi laraz uthi
tere labon pe phir bhi shukr-e-kirdigaar hai hussain
bureeda sar buland ho ke bawaqaar hai hussain
ya hussain ya hussain ya hussain ya hussain
tere khayaam jal gaye nabi ka ghar ujad gaya
jala kisi ka payrahan kisi ki chin gayi rida
musafirat ke dasht mein luta hua wo khaafila
kisi yateem ko chacha ka intezar hai hussain
wo kaun hai jo khaafile ka zimedaar hai hussain
ya hussain ya hussain ya hussain ya hussain
wo karbala se shaam jaa raha hai koi karwan
wo gaysuwo se moo chupaye tashnakaam bibiyan
galay mein tauq-e-khardaar aur imam-e-ins-o-jaan
ke tere lakhte dil pe ek ye bhi baar hai hussain
na koi dost hai na koi ghamgusaar hai hussain
ya hussain ya hussain ya hussain ya hussain
saubatein guzar gayi museebatein guzar gayi
bayan na ho sake kabhi jo aafatein guzar gayi
nabi ke ahle bayt par qayamatein guzar gayi
isi sabab ye kaayenat soghwaar hai hussain
yehi nawa e shahid-e-jigar figaar hai hussain
ya hussain ya hussain ya hussain ya hussain