Kanz e Aza

Ye Baat Shaah ne

A noha for Imam Hussain (a.s), written by Shahid Jafer. Lyrics in Roman Urdu.

ye baat shaah ne maqtal mein khoon se likh di hai

ragay gulu bhi to khanjar ko kaat deti hai


dayare karbobala se ubhar gayi tauheed

sipaahe kufr ko be aas kar gayi tauheed

bas ek sajde se dil mein utar gayi tauheed

hussainiyat wo jo baatil ko maat deti hai

ye baat shaah ne…


uloohiyat se khulaase jamaal adl hai kya

ali ne sab ko sikhaya amaane asl hai kya

koi hussain se pocche misaale adl hai kya

kahenge aamade hurr khud misaal banti hai

ye baat shaah ne…


khuda ka adl nabuwat se aashkaar hua

khuda ka deen nabuwat se ba-bakhaar hua

magar jo kaare nabuwat ka virsadaar hua

hadees e minniyat usko salaam karti hai

ye baat shaah ne…


hidayaton ke tasalsul mein ab imamat hai

khaleel teri dua ka sabab imamat hai

so teri nasl mein aali nasab imamat hai

wohi to khaab ko tabeer baksh deti hai

ye baat shaah ne…


imame waqt teri muntazir qayamat hai

aur inteqam pe ab muntasir qayamat hai

tu inteqam jo lele to phir qayamat hai

wo inteqam jo har qalb ki tasalli hai

ye baat shaah ne…


chale hussain qayamat utha ke qaime se

qadam uthane ke mushkil mein gar qadam na ruke

jigar ko thaam ke ahle haram bahot tadpe

hussain ro diye fizza ne jab dua di hai

ye baat shaah ne…


chali jo taygh hussaini to asr tak na ruki

ye baat taygh ne abbas se kahi hogi

tere hussain ne abbas teri jang ladi

magar ye taygh bhi bas ab niyam honi hai

ye baat shaah ne…


utha ke laashae be-sar ko zainabe nachaar

kaha khuda se ke ye hadya e shahe abraar

qubool karle mohamed ka ye jigar afgaar

ye waada bhi shahid shahe huda ki hai

ye baat shaah ne…