Kanz e Aza

Ye Sar Uska Hai

A noha for Imam Hussain (a.s), written by Mir Sajjad Mir. Lyrics in Roman Urdu.

jo mohamed ka nawasa hai ye sar uska hai

jisko nau laakh ne maara hai ye sar uska hai


sar uthaye huwe khooli ye sada deta hai

ali akbar ko jo rota hai ye sar uska hai

jo mohamed ka nawasa hai...


pani peeta raha khud saamne qaatil jiske

zibha ho kar bhi jo pyasa hai ye sar uska hai

jo mohamed ka nawasa hai...


hurmala ne jise ghode se giraane ke liye

teer peshani pe maara hai ye sar uska hai

jo mohamed ka nawasa hai...


sheh ke honton pe chadi maar ke zaalim ne kaha

jis ki maa fatema zehra hai ye sar uska hai

jo mohamed ka nawasa hai...


zakhmi chehre ki taraf dekh ke zehra boli

patharon se jisay maara hai ye sar uska hai

jo mohamed ka nawasa hai...


jis ne aulaad ata ki thi madine may mujhe

ro ke raahib yehi kehta hai ye sar uska hai

jo mohamed ka nawasa hai...


jis ki beti ko abhi haste huwe zaalim ne

chale naaqe se giraya hai ye sar uska hai

jo mohamed ka nawasa hai...


mir sajjad jise dafn bhi hone na diya

be-kafan jis ka janaza hai ye sar uska hai

jo mohamed ka nawasa hai...