sache ho to sab ko batana zehra sachi hai
jhoota hai ye saara zamana zehra sachi hai
fakhre maryam hukm jo deti ghasib ke darbar mein bhi
aate falak se kehne isa zehra sachi hai
zehra sachi hai...
fizza ne poocha maine suna hai aap falak par thay masroof
bole ali has kar ay fizza zehra sachi hai
zehra sachi hai...
aakhri matamdar kahega jaate huwe ye jannat mein
poora kiya hai apna waada zehra sachi hai
zehra sachi hai...
kitne anpad jaahil thay tum samjhe nahi tehreer-e-nabi
tum ko nabi ne likh ke diya tha zehra sachi hai
zehra sachi hai...
maa se dulhan ki maut ye boli malka e kun hai ye bibi
beti ho jayegi zinda zehra sachi hai
zehra sachi hai...
eid ke kapde aa jayenge kab aur kaise rab jaane
beton ko to itna pata tha zehra sachi hai
zehra sachi hai...
zehra ko jhutlaya jis dam chup thay madine waale magar
cheekh raha tha rauza e nabi ka zehra sachi hai
zehra sachi hai...
khwaab mein jaane kaunsa manzar dekha kamsin shabbar ne
chaunk ke kehta tha shehzada zehra sachi hai
zehra sachi hai...
honton par tatheer ki aayat qabr ki matti haathon mein
kehte thay ro ro kar maula zehra sachi hai
zehra sachi hai...
waada kiya tha bete se mai zibha ke waqt aa jaungi
dekho nibhaya apna waada zehra sachi hai
zehra sachi hai...
daud ke maatha choom liya beti ne ali ki ay sajjad
ghazi ne pehli baar jo bola zehra sachi hai
zehra sachi hai...