aaj bhi aati hai zehra ki baqayye se sada
baad baba ke kiye ummat ne kya jor o jafa
kaise wo ghurbat ka manzar bhool paaungi bhala
taqt pe baitha tha zaalim aur kahdi thi fatema
sayyeda ko bar sare darbar jhutlaya gaya
aaj bhi aati hai...
haye baba baad tere hum ne jhele wo sitam
phasliyan tooti hai meri pusht hai zakhmon se kham
aake dekho to zara kya haal mera hogaya
aaj bhi aati hai...
jal raha tha dar hamara aur sab haste rahe
murtaza ko baandh kar gardan se rassi le gaye
de rahi thi aap ko ro ro ke mai us dam sada
aaj bhi aati hai...
dar giraya jab sitamgaaron ne mai kehti rahi
zaalimon mai fatema zehra hoon mai binte nabi
rehm na khaaya kisi ne aur na aayi kuch haya
aaj bhi aati hai...
zainab o kulsoom hasnain o ali e murtaza
ro rahe thay sab ke sab hilta tha arshe kibriya
jis ghadi baba mera mohsin hua hum se juda
aaj bhi aati hai...
aayega ek roz jab ultega wo apni naqaab
lega ek ek se meri ghurbat ka wo saara hisaab
inteqam e fatema lega faqad mohsin mera
aaj bhi aati hai...