jab aaye qabr mein dafna ke fatema ko ali
kaha hussain se aayengi ab na amma kabhi
tumhe pilaunga beta mai aaj se pani
ye pehli raat yaad aayegi bahot maa ki
tumhari fikr mein hogi lehad mein maa bechain
subha se jaage ho so jao thodi dayr hussain
badh kar ali ne galay jab lagaya
ye keh ke shabbir ne sar uthaya
aaj meri maa chali gayi
baba mujhe ye batayein
kyun chod jaati hai maayein
seene se apne laga kar
ab kaun dega duayein
nazron se jaata nahi maa ka chehra
kaise mujhe neend aayegi baba
aaj meri maa...
rota hoon jab se suna hai
maa ko tamacha laga hai
aulaad ke saamne kya
maa ko koi maarta hai
ye waqt baba kisi par na aaye
maa apne bacchon se chehra chupaye
aaj meri maa...
darwaza maa par gira kar
kehne laga ek sitamgar
aaj itna zehra ko maaro
uth na sake zindagi bhar
hasta raha maar kar taziyane
aaya nahi maa ko koi bachane
aaj meri maa...
baazu hi jab toot jaaye
kaise koi haath uthaye
bete ko is haal mein maa
seene se kaise lagaye
phir bhi mere naaz uthaati thi amma
takleef mein muskurati thi amma
aaj meri maa...
maa mar gayi hai pata tha
par dil nahi maanta tha
aur aap ne mere baba
jab ghusl unko diya tha
yun cheekh kar aap roye thay baba
us waqt mujhko yaqeen aagaya tha
aaj meri maa...
haye mai darbar se ghar
aaya tha jab maa ko le kar
raste mein amma ke paon
khat khaynchte thay zameen par
aise khadam wo uthaati thi baba
chalti thi phir baith jaati thi baba
aaj meri maa...
maara tha zaalim ne baba
jis haath par taaziyana
bhoolunga kaise mai maa ka
wo haath mujhse chupana
wo neel meri nazar mein tab aaya
maa ne kafan khol kar jab bulaya
aaj meri maa...
jab door apne watan se
mehroom ho kar kafan se
laasha pada hoga mera
lut jayega sab badan se
jaaunga ek roz karbobala mai
lekin ghareeb aaj se hogaya mai
aaj meri maa...
seene se apne laga kar
us dam bahot roye hyder
haye raza aur zeeshan
jab bole shabbir ro kar
maa mar gayi ab jiyunga mai kaise
ay kaash mar jaata mai unse pehle
aaj meri maa...