Kanz e Aza

Aalam May Yun

A noha for Shehzadi Fatima (s.a). Lyrics in Roman Urdu.

aalam may yun shareek e risalat hai fatema

rehmat nabi hai saaya e rehmat hai fatema


shauhar wali padar hai payambar pisar imam

kitni azeem deen ki taaqat hai fatema

aalam may yun...


maryam ka fatema se bhala kya muqabla

maryam to aabida hai ibadat hai fatema

aalam may yun...


dono ke ishteraak se sajda qubool hai

hyder agar namaz hai niyat hai fatema

aalam may yun...


dashte mubahila may payambar ko dekh kar

kehna padega jumb e risalat hai fatema

aalam may yun...