Kanz e Aza

Ab Raat Ho Chuki

A noha for Shehzadi Fatima (s.a), written by Ainee Rizvi. Lyrics in Roman Urdu.

jab khaak mein chupa chuke beti rasool ki

moo rakh ke apna qabr pe rote rahe ali

quran pad rahe thay jo ro ro ke murtaza

itne mein aayi fatema zahra ki ye sada


marqad pe meri aise na aansu bahaiye

ab raat ho chuki hai bahot laut jaaiye


maloom hai ye aap ko naazon ke hai palay

bache kabhi bhi raat mein tanha nahi rahe

ghar jaake pyaar kiye khana khilaiye

ab raat ho chuki hai…


bichde hai pehli baar jo maadar se naunehal

bachon ka mere ya ali rakhna bahot khayal

lipta ke apne seene se dhaaras bandhaiye

ab raat ho chuki hai…


milta nahi hai chain mere dil ke chain ko

raaton mein pyaas lagti hai mere hussain ko

ashkon ko uske pochiye pani pilaiye

ab raat ho chuki hai…


zainab bahot hai choti ye gham seh na payegi

kehna bhi jo chahegi to kuch keh na payegi

bin maa ke kaise rehte hai usko sikhaiye

ab raat ho chuki hai…


ek aarzu hai aap se marqad pe ya ali

le aaiyega bachon ko mere kabhi kabhi

mera nishan e qabr kayi jaa banaiye

ab raat ho chuki hai…


faryad ka na qabr pe rone ka waqt hai

bachon ka mere ya ali sone ka waqt hai

lori thapak ke dijiye unko sulaiye

ab raat ho chuki hai…


mujhko yaqeen hai aaj wo hargiz na soyenge

chup chup ke mere hujre mein jaa kar wo royenge

meri nishaniyon ko wahan se hataaiye

ab raat ho chuki hai…


ainee bhala wo kis tarha bechaargi likhe

aamir na jaane kaise ali qabr se uthay

awaaz bas ye aati rahi gham na khaaiye

ab raat ho chuki hai…