Kanz e Aza

abad wallah ya zahra

A noha (2012). Lyrics in Roman Urdu.

hussain

imam hussain

teen shaaban sadaae qaunain

marhaba salle ala hogaya zahoor e maula hussain

aaghoshe fatema se husain aaghoshe risaalat me aaye

hussain dekh ke nana ko muskurate hain magar ye kya huwa chashme rasoole akram se

khushi ke wakt bhi aansu tapakte jaate hain

sawaal kardiya zehra ne ay mere baba udaas kyun huwe kyun sogwaar hai chehra

kaha rasool ne zehra mai khush huwa

ye tera laal mere deen ko bachaega

mein roya is liye zehra watan se door

pyasa akela ghareeb ye mara jaaega aur us qayaamat me na mein na tum

na ali honge na hasan hoga

na koyi apna na pyara hoga

kinare nehr ke be goro be kafan hoga

tadap ke puchha nabi se hussain ki maa ne ke mere baba uspe kon royega

kaha rasool ne zehra na fikr kar beti

khuda ki samt se maujood ek kabila hai

jo royega taa hashr uska waada hai

jo na hussain ko bhulega na husain usko bhulega

saare jahaan se unki musalsal sada hogi

hussain


waada hai hamara ya fatema zehra

nahi bhulenge hussaina

usne hamko na bhulaya hamne usko na bhulaya


husseinun hubbuhu yamhul khataaya

huwa nurul ladhi yuhdhil baraaya

minhu lah badrul huda lan nensah tulil madaa


abad wallah ya zehra ma nensa hussaina

hallah hallah ya waliena

ehna khiddamak je'na

waada hai ye wallah ya fatema zehra

waada hai hamara ya fatema zehra

nahi bhulenge hussaina


qasam allah ki wo jisne hame khalq kiya aur hame karbobala ke liye makhsus kiya

ham wohi log hain wallah dua e zehra

usne halmin jo kaha nasirin yansurna

hamne labbaik kaha


usne hamko na bhulaya hamne usko na bhulaya

hussain hussain

abad wallah ya zehra ma nensa hussaina

hallah hallah ya waliena

ehna khiddamak je'na

waada hai ye wallah ya fatema zehra

waada hai hamara ya fatema zehra

nahi bhulenge hussaina

azam allaho lakal ajra ali

bil musiba ya hayder ya ali


ya ali aapke har ranj o masaaeb ki qasam

aapke gham ki hai makrooz ye nasl e aadam

chauda sadiyon se musalsal hai azaa o matam

zaayer e karbobala ke na ruke phir bhi qadam


azam allaho lakal ajra ali

bil musiba ya hayder ya ali


law qatau'u arjulna wal yadayne

na'atik zahfa sayyidi ya hussain


hussain hussain

abad wallah ya zehra ma nensa hussaina

hallah hallah ya waliena

ehna khiddamak je'na

waada hai ye wallah ya fatema zehra

waada hai hamara ya fatema zehra

nahi bhulenge hussaina


ek waada hai jo shabbir se ham sab ne kiya

ek waada hai jo shabbir ne bachpan me liya

apne maa baap se nana se baradar se kaha

aap sab mere azaadaaro ko kya denge sila


bole sarkaar e mohammad mein shafa'at dunga

bole haidar ke mein kausar ki bashaarat dunga aur hassan bole mein sardaar hun jannat dunga

boli zehra tera waada hai shahaadat dunga

mein bhi jannat me na rakkhungi qadam mere hussain


jab talak khuld me jaaye na azaadaar e hussain


hussain hussain

abad wallah ya zehra ma nensa hussaina

hallah hallah ya waliena

ehna khiddamak je'na


imam hussain


waada hai hamara ya fatema zehra

nahi bhulenge ya zehra


aati hai fatema zehra ki sada

ay azaadaaro suno

ay azaadaaro na jab tum bhule

bhul jaaye tumhe zehra kaise


mujh pe kya kya na masaaeb toote

mera do baar jala ghar logo

mere pehlu pe ghira dar logo

daagh e mohsin hai jigar par logo


mujh ko darbaar bulaa kar logo

kaata hai qalb e payambar logo


nahi bhulenge ya zehra


na mein abbas e alamdar ke baazu bhuli

na mein zainab ka tarapta kisi pehlu bhuli

gard aalood sakina ke na gesu bhuli

na hi sajjad ke khoon rang wo aansu bhuli


nahi bhulenge ya zehra


apne bachhe ke rafiqon ko bichharta dekha

khaaq par aun o mohammad ko tarapta dekha

meine tukre huwe qasim ka janaaza dekha

eriyaan khaaq pe akbar ko ragarta dekha


meine asghar ka galaa teer me uljha dekha

jis ghari laal mera zeen se reti pe ghira

tera zarbo se mere saamne sar uska kata


hussain hussain


haay phir shaame ghareeba ne mujhe lut liya

wo rida meri thi aadaa ne jise lut liya

mein na bhulungi wo baazaar

haaye wo shaam ka darbaar


nahi bhulungi wo zindaan

haay mera aabid e beemar

zehra zehra


zehra nahi bhulenge

hargiz nahi bhulenge


shabbir ki ghurbat ko

neze pe tilaawat ko


zehra nahi bhulenge

hargiz nahi bhulenge


abbas ko akbar ko

qasim ali asghar ko


zehra nahi bhulenge

hargiz nahi bhulenge


jalte huwe khaimon ko

chhinti huwi chaadar ko


zehra nahi bhulenge

hargiz nahi bhulenge


zainab ki shuja'at ko

aabid ki qayaadat ko


zehra nahi bhulenge

hargiz nahi bhulenge

abad wallah ya zehra ma nensa hussaina

hallah hallah hussain wainah


bis suyuf magta'ainah


abad wallah ya zehra ma nensa hussaina