Kanz e Aza

Akeli Zahra

A noha for Shehzadi Fatima (s.a), written by Mohsin Jaffri. Lyrics in Roman Urdu.

kalma goyon may hui haye akeli zahra

sar e darbar gayi baba jhutlayi gayi

aap ki beti zahra


kar ke tehreer ke tukde mujhe lautaya gaya

mere masoom gawahon ko bhi jhutlaya gaya

kehkahe sehti rahi aur sanad chunti rahi

aap ki sachi zahra

kalma goyon may hui...


jis gali may mujhe zaalim ne tamacha maara

jeete jee mera hassan phir na wahan se guzra

wo na bhoolega kabhi us se dekhi na gayi

khaak pe girti zahra

kalma goyon may hui...


zakhm pehlu ka to bachon se chupaya baba

par ye sadma mujhe turbat may bhi tadpayega

jab tamache khaaye dekha bachon ne mere

rok na paayi zahra

kalma goyon may hui...


aap ki zahra thi jalte huye dar ke neeche

aur haste huwe us par se musalman guzre

thokre khaati rahi ya ali kehti rahi

baba tumhari zahra

kalma goyon may hui...


phasliyan toot ke uljhi hai kuch aise baba

saans leti hoo to dukhta hai kaleja mera

hai shikasta baazu kar nahi sakti ruku

zakhmi hai itni zahra

kalma goyon may hui...


mujhse kehne lagi zainab ay zaeefa bibi

ye hai kaunain ki malka ka musalla bibi

aisi haalat thi meri wo na pehchaan saki

saamne baithi zahra

kalma goyon may hui...


mekh jalte hue darwaze ki jab surkh hui

mere pehlu se wo mohsin ke badan may utri

haye dam tod gaya wo mujhe chod gaya

zinda hai phir bhi zahra

kalma goyon may hui...


qabre zahra ki khamoshi ye buka karti hai

mera mohsin hai jo parde may mera mehdi hai

ab fidak ki khaatir apne haq ki khaatir

kuch na kahegi zahra

kalma goyon may hui...