kitni ghareeb hogayi baba tumhari fatema
jisko kaha tha maa tum ne usko hi sab ke saamne
jhooti kaha gaya
darbar jab se dekha hai kitni zaeef lagti hoon
pehchan yun karati hoon ro ro ke khud batati hoon
haan mai hoon fatema
kitni ghareeb hogayi...
beton ke saamne baba maine tamacha khaaya hai
kuch bhi nahi wo kehta hai bas sehma sehma rehta hai
beta hassan mera
kitni ghareeb hogayi...
zakhmi hai ungliyan itni tasbeeh pad nahi sakti
kunfuz ne taziyane se teri fatema ke haathon pe
aisa sitam kiya
kitni ghareeb hogayi...
jis dar pe aap rukte thay us dar pe aag le aaye
apne hi dar ke sholon mein dekhi hai teri beti ne
yasrab mein karbala
kitni ghareeb hogayi...
shiddat thi wo tamache ki mai moo ke bal zameen pe giri
itna wo haath tha bhari toota hai goshwara bhi
zakhmi hai fatema
kitni ghareeb hogayi...
baba madine waalon ne maari hai thokarein mujhko
wahid ye jurm tha mera mujhse ali bachane ka
badla liya gaya
kitni ghareeb hogayi...
ek tooti qabr se mohsin awaaz ab bhi aati hai
ye kaise hogaya baba mai zinda reh gayi mera
mohsin nahi bacha
kitni ghareeb hogayi...