bachpan mein agar maa mar jaaye
is gham se bada gham koi nahi
hasnain ke dil se poocho to
is zakhm ka marham koi nahi
ya mazlooma ya masooma
ya zehra
bacchon ko sambhale mazlooma
ya maula ki imadad kare
masoom imamon ki maadar
haye kis se faryad kare
ye zulm jo dhaane aaye hai
in logon mein kam koi nahi
hasnain ke dil se...
ghar jalta hai uth'ta hai dhuaan
be-jaan hai binte paighambar
rote hai tadapte hai bacche
ghar mein hai qayamat ka manzar
aur haye nabi ki ummat mein
ranjeeda o barham koi nahi
hasnain ke dil se...
is gham mein nabi bhi rote hai
ye dard nahi tum ne jaana
fizza ne kaha ba-deeda e tar
is tarha ghar mein mat aana
ye noor e taharat ka ghar hai
aur tum mein mehram koi nahi
hasnain ke dil se...
mohsin ki shahadat pehlu mein
ye zakhm laga kitna gehra
deewar o dar ke beech mein phir
behosh hui gir kar zehra
ye dard bahra lamha hai
is jaisa aalam koi nahi
hasnain ke dil se...
baba ke baad zamane mein
aisi mazloom hui zahra
deewar pakad kar chalti hai
kamzor zaeefa ki tarha
baazu zakhmi pehlu zakhmi
ek haath mein bhi dam koi nahi
hasnain ke dil se...
majrooh badan pehlu zakhmi
raaton ko neend aati hai
har ek qadam dukh deta hai
har saans qayamat dhaati hai
zehra ki tarha se dunya mein
hai chashme pur nam koi nahi
hasnain ke dil se...
awaaz hussain ke rone ki
jab kaan mein zehra ke aayi
phir band kafan bhi toot gaye
aur rooh badan mein ghabrayi
sab bharte hai dam dunya mein
maa jaisa hamdam koi nahi
hasnain ke dil se...
turbat bhi nahi mazlooma ki
turbat ki jagah turbat ka nishan
is gham mein imame asr ke bhi
hai khoone jigar aankhon se rawan
is gham mein agar jo ro na sake
wo chashme adam koi nahi
hasnain ke dil se...
ay shadman hum nauha padh kar
jab karte hai gham zehra ka
rote hai naseem us dam hyder
aur karte hai matam zehra ka
ye maadar e gham ka matam hai
is jaisa matam koi nahi
hasnain ke dil se...