abbas qatl hogaye akbar juda hua
hum se kisi ne ye bhi na poocha ke kya hua
qasim ka laasha ghodon se pamaal ho gaya
maadar ko uska gham mein hamesha rulayega
tukdon mein aaya laasha e qasim bata hua
hum se kisi ne ye bhi na...
ro ro ke yehi kehte thay laashon se lipat kar
thay aun o mohamed mere akbar ke barabar
zainab ke jigar paaron ka sadma bada hua
hum se kisi ne ye bhi na...
pyason ke dil mein pani ka armaan reh gaya
mashkeeza chida khoon e alamdar beh gaya
hum laaye alam bhai ka khoon mein bhara hua
hum se kisi ne ye bhi na...
gir jaate thay ghash khaate thay har gaam tadap kar
dete thay sadayein ho mere laal kahan par
aur seena e akbar mein tha nazia laga hua
hum se kisi ne ye bhi na...
mushkil se bahot khayncha tha us teer ko maine
dafna to diya asghar e baysheer ko maine
yaad aata raha halq wo uska chida hua
hum se kisi ne ye bhi na...
ansaar o aqraba sabhi jaan se chale gaye
akbar ki laash laaye to asghar ko le gaye
bas do pahar mein khatm ghar bhara hua
hum se kisi ne ye bhi na...
aankhon mein andhera tha kamar toot chuki thi
majboor behan qaime ki dweodi pe khadi thi
bemaar natawan tha ghash mein pada hua
hum se kisi ne ye bhi na...
padh kar naseem shadman aansu bahayega
ghaibat mein bhi imame zamaan ko rulayega
misre pe mir anees ke nauha likha hua
hum se kisi ne ye bhi na...