Kanz e Aza

Abbas Sakina Ko

A noha for Shehzadi Sakina (s.a), written by Qamar Hasnain. Lyrics in Roman Urdu.

saahil ki taraf dekh ke kehti thi ye zainab

abbas kahan ho mere abbas kahan ho


zainab ki ye faryaad hai daaman may chupalo

abbas sakina ko tamachon se bacha lo


kehti hai sakina ke ajab haal hai haye

kooze liye baithi rahi ammu nahi aaye

baba bhi nahi kaun yahan humko bachaye

ek baar isay daste bureeda may utha lo

abbas sakina ko...


seena isay baba ka mayassar nahi kab se

zindan ki zameen par ye agar soye to kaise

abid ki ye zanjeer pe sar rakhe huwe hai

le jao isay godh may bachi ko sula lo

abbas sakina ko...


zindan may zara chain nahi paati hai bachi

dukh hadh se guzarta hai to chillaati hai bachi

jab shimr hai badta to laraz jaati hai bachi

imdaad karo bhai yateema ki dua lo

abbas sakina ko...


sar par mere chadar nahi kuch aas nahi hai

maloom hai zinda mera abbas nahi hai

kehti hai sakina ke mujhe pyaas nahi hai

mai kis se madad maangu sakina ko sambhalo

abbas sakina ko...


beemar madad is ki koi kar nahi sakta

dar jaati hai ye jab hai koi isko jhidakta

kasno se lahoo is ke abhi tak hai tapakta

kehti hai chacha jaan mujhe paas bula lo

abbas sakina ko...


chillaati hai zindan may kidhar jaaye sakina

aisa na ho tanhaai may darr jaaye sakina

baba se judaai may na mar jaaye sakina

saahil se utho qaid se ab isko chuda lo

abbas sakina ko...


zindan may zainab ki qamar hai yehi faryad

zinda na sakina rahi itni hui be-daad

tadfeen ho kaise ke hai zanjeer may sajjad

mayyat ko sakina ki koi bad ke utha lo

abbas sakina ko...