Kanz e Aza

Accha hua Sugra

A noha for Shehzadi Sakina (s.a) (2012). Lyrics in Roman Urdu.

Acha hua sughra


jab ahle haram aaye madine may palay kar

sughra se kaha saniye zehra ne lipat kar

acha hua sughra tu mere saath nahi thi

zainab ka tha noha hum lut gaye sughra


acha hua sughra....


1. is baat pe karti hoo ada shukr ka sajda

hum may se kisi ka to salamat raha parda

kis tarha bataun tujhe dil phat ta hai mera

sadaat ki ghairat ka taqaza nahi sughra

bas itna hi kehti hoo rida jab ke chini thi


acha hua sughra....


2. tu poochti hai surkh hai kyun aap ki chadar

aa tujhko bataun mere mazloom ki dukhktar

jab qaime may sheh laaye laashe ali akbar

mai aise giri laash ke pehlu may tadap kar

akbar ke lahoo se ye rida surkh hui thi


acha hua sughra....


3. kis tarha rahi hogi tu is ghar may akeli

ehsaas mujhe hai tere is dard ka beti lekin tu zaeefa hui furqat may padar ki

tujhko to khabar sirf shahadat ki hai

pahunchi

mai sheh ka gala kat-te hue dekh rahi thi


acha hua sughra....


4. kya bughz hai baba se musalmano ko jaane phir aaye thay ghar fathema zehra ka jalane

sab aake khade hogaye bekas ke sarhane

us waqt sitamgaron se abid ko bachane

beti phupi amma teri sholo pe chali thi


acha hua sughra....


5. tanhai may le jaake kabhi poochna maa se

kis tarha se guzri teri maa behne wahan se

baatein jahan sab karte hai pathar ki zuban

se


shab ko bhi guzarna bada mushkil hai jahan

se

be-parda din may wahan har ek bibi khadi

thi


acha hua sughra....


6. nana ka madina hai nahi khauf kisi ka

dil khol ke ro kaun tujhe maarega durra lekin kabhi baba pe jo roti thi sakina

sayli kabhi durra kabhi khati thi tamacha

rone pe bhi masoom ke pabandi lagi thi


acha hua sughra....


7. ay mir takallum wo qayamat thi qayamat

zainab ne sunayi jo sakina ki shahadat

sadaat pe sughra tha ajab aalam e ghurbat

zindan ke andhere may banayi gayi turbat

dam tod ti bachi ne bhi ye baat kahi thi


acha hua sughra....