Kanz e Aza

ana ibne makkao minara

A noha for Imam Raza (a.s) (2012). Lyrics in Roman Urdu.

bayaan karta hun darbaare shaam ka manzar

jahaan the saath sau kursi nasheen fitna gar

yazeed jham raha tha sharaab pi pi kar aur aisi bazm me afsos aale paighambar

tha un ke samne ek bad kalaam mimbar par

bayaan karta tha jhuthe yazeed ke johar

khateebe jahal se bole ye aabide muztar ke tu ne khush kiya makhluq ko zarur magar

khareeda qehre khuda tu ne mukhtasar zar par

are jahaan ho zikre bad atwaar wo mimbar kab hai

lakriyon ka hai wo ambaar wo mimbar kab hai

kahaa yazeed se kuch main kahun ijaazat de

yazeed chup tha to darbari saare kehne lage

yazeed de de ijaazat ise bhi kehne de

ye kya kahega larazta hai jo naqaahat se

sambhaale tauq o rasan shaane kirdegaar aayi

imaam aaye ke mimbar pe zulfiqar aayi


ya hussain ya hussain

ya hussain ya hussain


jis ka mimbar tha wo hi bar sare mimbar aaya

wo akela tha magar surate lashkar aaya

lab kusha surate quraan wo haidar aaya

jab wo khamosh zabaan bar sare darbaar chali

karbala me na chali thi jo wo talwaar chali


ana ibne makka o mina

ana ibne zamzam o safa

ana ibne ali o fatema


lehja e noor me mola ne kahaa bismillah

laayeqe hamd o sanaa hai to wo hi ek khuda

jis ne ham aale muhammad ko hai takhleeq kiya

jis ko malum hai malum hai mera shajraa

jo nahin jaanta wo sun le ta’arruf mera


ana ibne makkah o mina

ana ibne zamzam o safa

ana ibne ali o fatema


ham ko allah ne tchhe khubiyaan bakhshi bakhuda

ilm aur hilm diya aur dile momin me rakhaa

hai samaa'at wa fasaahat wa shujaa'at wirsa

kam na thi khubiyaan tchhe jo ke ye izzat ke liye

sifatain saath mili aur fazeelat ke liye


ana ibne makkah o mina

ana ibne zamzam o safa

ana ibne ali o fatema


ham me awwal jo the wo ahmade mukhtaar huwe

koyi hamza to koyi jaafar e tayyar huwe

ham hi haidar huwe abbase alamdaar huwe

ham ko mairaje risaalat bhi imaamat bhi mili

ham ko mehrabe ibadat main shahadat bhi mili


ana ibne makkah o mina

ana ibne zamzam o safa

ana ibne ali o fatema


us ka farzand hun seh ruz raha jo pyaasa

darmiyaan zeen o zameen jis ka raha tha laasha

jis ke sajde ke sabab khaak bani khaake shifaa

khaak aur khoon me duba tha amaama jis ka

sume asb’ha tale ronda gaya laasha jis ka


ana ibne makkah o mina

ana ibne zamzam o safa

ana ibne ali o fatema


ahle insaaf ab insaaf se itna keh de

jis ki chaukhat pe salaami ko farishte utre

nauke neza se laeen un ki ridaayen lute

tum ne khaime nahin allah ka ghar khaak kiya

kalma parh parh ke muhammad ka jigar chaak kiya


ana ibne makkah o mina

ana ibne zamzam o safa

ana ibne ali o fatema


jis ke parde ke liye aayate tathear aayi

sang barsaate huwe un pe yahaan tak laayi

haif hai ruhe muhammad se na tum sharmaaye

ham ne paabande rasan ho ke tujhe maara hai

ibne marjaana tu jeeta to nahin haara hai


ana ibne makkah o mina

ana ibne zamzam o safa

ana ibne ali o fatema


baat jab khul gayi saadaate muhammad hain yahaan

ro diye ehle jafaa ubhra baghaawat ka samaan aur isi shor me haakim ne diya hukme azaan

saat afraad jo yek mosht azaan dene lage

haq me sajjaad ke darbaari bayaan dene lage


ana ibne makkah o mina

ana ibne zamzam o safa

ana ibne ali o fatema


jab mo'azzin ne kiya kalma e takbeer adaa

bole sajjaad buzurgi hai usi ko ziba

jaise hi naam muhammad ka mo'azzin ne liya

mur ke haakim se kaha tere iraade bad hain

ye muhammad hain tumhare ke hamaare jad hain


ana ibne makkah o mina

ana ibne zamzam o safa

ana ibne ali o fatema


aib kyun apne chupata hai azaanen de kar

the agar tere muhammad to sitam kyun ham par

daal is tauq pe zanjeer pe ek baar nazar

zakhm jo tu ne diye sab dile bimaar me hain

betiyaan hain ye muhammad ki jo darbaar me hain


ana ibne makkah o mina

ana ibne zamzam o safa

ana ibne ali o fatema


tu to kehta hai ke hai dhong na'uzobillah

na payambar na wahi aayi na qur’aan utraa phir azaanen bhi tu darbaar me hai dilwaata

le munaafiq tere chehre se utarti hai naqaab

jis ka munkir hai wo qur’aan tera lega hisaab


ana ibne makkah o mina

ana ibne zamzam o safa

ana ibne ali o fatema


is shaqaawat pe bhi ham haare nahin jeet gaye

naam azaanon me tumhaare nahin ham jeet gaye

kya ye qudrat ke ishaare nahin ham jeet gaye

yek ba yek fathe mobeen sab ko nazar aane lagi


marhaba sayyade sajjaad sadaa chhaane lagi

bole phir aabide bimaar ye izzat dekhi

dekhi ye takhte sitamgaar ye izzat dekhi phir gayaa tujh se ye darbaar ye izzat dekhi

jis ka haami ho khuda kaun use zillat de


izzaten us ki hai allah jise izzat de

haaye hussaina haaye hussaina

utre mimbar se to baba ke kate sar ne kahaa

marhaba ay mere sajjaad ghareebe zehra


mo'jiza sarwar o rehan falak ne dekha

khutba e zainab o sajjaad ne wo kaam kiya

hashr tak zikre hussain ibne ali aam kiya