Kanz e Aza

Aye maula Raza shahe khurasan

A manqabat for Imam Raza (a.s), written by Mir Hassan Mir (2012). Lyrics in Roman Urdu.

Aye maula Raza shahe khurasan

Ya Imam E Reza (A.S.)..8

Aai Garibul Guraba (A.s.) , Aai Moinaz Zoefa (A.s.) , Tujh pe Qaunain Fida, Aai Ali Moosa Reza (A.s.), Aai Ali Ali Ali Moosa Reza (A.s.)  Jaan, Aai Maula Raza (A.s.) Maula Raza (A.s.) Shah E Khorashan..2

Yeh Jaan Hai Kya.. Dono Jahan Aap Pe Qurban


Aai Maula Raza (A.s.) Maula Raza (A.s.) Shah E Khorashan..2


Jub Koi Thikana Nahi Milta Hai Jahan Me

Aajate Hai Woh Aap Ke Daaman E Ama Me

Haiwan Ho Chahe Woh Parinde Ho Ya Insan


Aai Maula Raza (A.s.) Maula Raza (A.s.) Shah E Khorashan..2


Naubat Yahi Kehti Hai Ke Aane Ko Hai Naubat

Hone Ko Hai Qaiyam Tere Qaiyam (A.t.f.s.) Ki Hukumat

Mashad Me Yehi Sham O Sahar Hota Hai Ailan


Aai Maula Raza (A.s.) Maula Raza (A.s.) Shah E Khorashan..2


Aai Mulk E Sakhawat Ke Shahenshan E Sakhawat

Maine Tere Darbar Se Maangi Hai Vizarat

Kya Shan Hai Wallah Mohammad (S.a.w.w.)  Ke Wali Ki

Masroof  Mila Mujhko  Woh  Midhat Me Ali (A.s.) Ki, Haan Mai Ne Uthaya Tere Rauze Pe Jo Quran


Aai Maula Raza (A.s.) Maula Raza (A.s.) Shah E Khorashan..2


Sub Ne Jo Khorashan Ke Raste Me Suna Hai

Tu Ne (A.s.) Tere Baba (A.s.)  Ne Tere Jad (A.s.) Ne Kaha Hai

Hum Sub Ke Sabab Kalma E Tawheed Me Hai Jaan


Aai Maula Raza (A.s.) Maula Raza (A.s.) Shah E Khorashan.2


Behlool Ki Maroof Ki (A)buzar Ki Kasam Hai

Malik Tujhe Bus Malik E Ashtar Ki Kasam Hai

Pal Bhar Me Mujhe Banade Salman Ka Salman


Aai Maula Raza (A.s.) Maula Raza (A.s.) Shah E Khorashan..2


De Midhat e Ajdad Ka Aaka Mujhe Yu Fal

Jistarha Se Kehlata Hai Shair Tera Debal

Kehlane Lage Meer Bhi Yun Tera Sana Khwan


Aai Maula Raza (A.s.) Maula Raza (A.s.) Shah E Khorashan..2


Ya Imam E Raza (A.s.)..8