Kanz e Aza

Raza ke rouze par

A manqabat for Imam Raza (a.s), written by Mir Hassan Mir (2020). Lyrics in Roman Urdu.

Aey Dard Kay Darman Sultan e Khurasan

Aala Hai Teri Shan Aey Natiq Quran


Hum Sab Ka Hai Emaan , Jannat Kay Khurasan

Kiya Jo Zikr Ali Ka Raza Ke Rozey Par


Najaf Ka Daikha Nazara Raza Ke Rozey Par

Qabool Hogai Tauba Raza Ke Rozey Par


Parha Jo Surah Tauba Raza Ke Rozey Par

Ghareeb Ho Nahi Ja Saktay Hajj Pay Aao Chalo


Sawab Hajj Ka Milaiga Raza Ke Rozey Par

Khuda Ka Shukr Kay Dharkan Ka Aur Nobat Ka


Tha Rang Ek Hi Jaisa Raza Ke Rozey Par

Samajh Main Agai Khud Dar e Mustaqeem Mujhay


Tha Rang Ek Hi Jaisa Raza Ke Rozey Par

Yahan Pay Koi Gaar Anahi Sakta Raza Ke Rozey Par


Kahin Likha Nahi Daikha Raza Ke Rozey Par

Mazeef Shah e Khurasan Main Khuli Mujh Par


Haqeeqat e Man o Salwa Raza Ke Rozey Par

Mairi Biyaaz Main Khamoshi Tha Jo Arsay Say


Woh Shair Hogaya Zinda Raza Ke Rozey Par

Ali Ali Ki Sada Dai Raha Tha Jab Main Nay


Mila Yun Rizq Kay Qatar Unton Ki

Sawal Rizq Kiya Tha Raza Ke Rozey Par


Rasool Tark Ko Daikha Raza Ke Rozey Par

Kushi Main Jhoom Raha Tha Raza Ke Rozey Par


Barhi Hui Yeh Batati Hai Loh Chiragon Ki

Hawa Ka Bas Nahi Chlta Raza Ke Rozey Par


Talash Mir Hasan Ko Na Karna Bad e Qaza

Woh Karbala Main Ya Hoga Raza Ke Rozey Par