Kanz e Aza

Ay Zaamine Ghariban

A noha for Imam Raza (a.s), written by Zeeshan Abidi. Lyrics in Roman Urdu.

ay zaamin e ghariban

lajpal raza maula sarkar raza maula

rote hai tere gham mein

ghamkhwar raza maula


kyun zehr de diya hai kazim ke gulbadan ko

ghurbat mein maar daala mazloom bewatan ko

phir lut gaya tumhara ghar baar raza maula

ay zaamin e ghariban...


yasrab mein teri behna karti hai yaad tujhko

bhai se ab mila de parwardigar mujhko

ho na saka behen ko deedar raza maula

ay zaamin e ghariban...


ay mere laal keh kar wo pyaar se bulana

maathe ko choomna aur seene se bhi lagana

yaad aayega taqi ko tera pyar raza maula

ay zaamin e ghariban...


haye sitamgari ne kya haal kar diya hai

haan zehr ke asar se tukde jigar hua hai

khoon ugle jaa rahe hai sardar raza maula

ay zaamin e ghariban...


taboot se lipat kar kehte hai rone waale

hum tere matami hai rauze pe ab bula le

ek baar hum bhi dekhe darbar raza maula

ay zaamin e ghariban...


ay fatema ke bete ye hai hamara waada

karte rahenge tere qatil pe hum tabbara

rokegi ab na koi dewaar raza maula

ay zaamin e ghariban...


zeeshan o shadmaan ye nauha suna rahe hai

yaad aagayi shahadat angoor bhi saje hai

taboot hogaya hai tayyar raza maula

ay zaamin e ghariban...