karbala ai karbala
likh de meri taqdeer mein bainul harmain maula hussain
ay baadshah e karbala maula hussain maula hussain
karbobala jannat meri karbobala chaahat meri
ab to mujhe deedar ho dil hai bechain maula hussain
ay baadshah e karbala...
mai nauhakhwan mai matami karbobala hai zindagi
sunlo meri awaaz ko zehra ke chain maula hussain
ay baadshah e karbala...
sab ho ke aaye karbobala mai reh gaya tanha yahan
dedaar ko bas aap ke tarse hai nain maula hussain
ay baadshah e karbala...
rauza tera ho saamne aansu mere behte rahe
dil se yehi aaye sada haye hussain maula hussain
ay baadshah e karbala...
zeeshan o irfan e aza naade ali ki hai dua
mujhko bula le karbala maula hussain
ay baadshah e karbala...