Kanz e Aza

Bahot Kareeb Hai

A noha for Imam Hussain (a.s). Lyrics in Roman Urdu.

bahot kareeb hai kausar se karbala e hussain

waseela haq ka koi nahi siwae hussain


bata rahi ye tareekhe karbala hum ko

jise mitaye zamana usay banaye hussain

bahot kareeb hai...


jo aale paak ke munkir hai unko batlado

zia e deen labe hai faqad zia e hussain

bahot kareeb hai…


na kooch jis ke be-rang jab nazar aaye

wo zere khanjar e qaatil bhi muskuraye hussain

bahot kareeb hai…


madad ko sheh ne pukara tha jab dam e aakhir

fiza mein goonj rahi hai wohi sada e hussain

bahot kareeb hai…


udoo ye samjhe ke quran le ke aaye hai

jab apne haaton pe asghar ko leke aaye hussain

bahot kareeb hai…


kaha ye laasha e abbas par shahe deen ne

sakina pyasi hai pani kahan se laaye hussain

bahot kareeb hai…


zameen pe jab kahin zikre hussain hota hai

falak se aati hai awaaz ab bhi aa ay hussain

bahot kareeb hai…


siyah habakh hai ya kafire mohabbat hai

nazar muqarb pe jisne nahi wilaye hussain

bahot kareeb hai…