Kanz e Aza

Band paani kar diya

A noha for Imam Hussain (a.s). Lyrics in Roman Urdu.

Band paani kar diya aale payambar ke liye

Mar gaye at'faale sarwar ek saaghar ke liye

Saath mera chodh do as'haab se kehte the shaah

Saare jhagde ho rahe hai ek mere sar ke liye


Shaah kehte the koi aulaad waala kya nahi

Thoda sa paani jo dede mere asghar ke liye Phir nazar ki sooe nehre alqama aur ye kaha

Mere gheerat'daar kya kehte ho quaahar ke liye

ho bhare darbaar me jab daaqela hamsheer ka


Kuch to karna intezaam us waqt chaadar ke liye

Aaya'e tat'heer ke maalik the ab wo kya karei'n

Betiyaa'n zahra ki hai mohtaaj chaadar ke liye

Hil gaye dil koofe waalo ke jo zainab ne kaha


Zulm jo chaahe karo aale payambar ke liye

Kya karu'n bhai mera shaane kataakar so gaya

Warna mai mohtaaj hoti ek chaadar ke liye