Kanz e Aza

Baniye Majlise aza zainab

A noha for Shehzadi Zainab (s.a). Lyrics in Roman Urdu.

BANIYE MAJLISE AZA ZAINAB..


SANIYE MAJLISE AZA ZAINAB, WARISE SABRE FATIMA ZAINAB.

Tujhko zalim ne belcha mara, Sar huwa haye tera do para, Jism ka khoon behgaya sara, Yun ghamo se hui reha Zainab.


Baniye majlise aza Zainab.


Zindagi bhar mili na koi khushi, Dil pe chalti rahi ghamou ki churi, Phir bhatije ke saath qaid huwi, Gham ka toota na silsila Zainab.


Baniye majlise aza Zainab.


Sham me phir huwi nayi uftaad, Kis tarah seh sakenge yeh bedad, Besahara hai Sayyade Sajjad, Chal basi haye bawafa Zainab.


Baniye majlise aza Zainab.


Sar khule izdehaam me jana, Balwaye qaaso aam me jana, Tera darbare shaam me jana, Tha qayamat ka marhala Zainab.


Baniye majlise aza Zainab.


Bekasi me huwi jafa tujhpar, Thi mazalim ki inteha tujhpar, Saare kunbe ka bojh tha tujhpar, Har qadam par thi Karbala Zainab.


Baniye majlise aza Zainab.


Chain tu ne kabhi nahi paya, Zakhm par zakhm tune hai khaya, Sar pe har dam ghamo'n ka tha saya, Tujhpe hoti rahi jafa Zainab.


Baniye majlise aza Zainab.


Samna tha tujhe qayamat ka, Ek pal bhi mila na rahat ka, Dardo gham ka har ek musibat ka, Hogaya tujhpe qatema Zainab.


Baniye majlise aza Zainab.


Tere majaye ki azadari, Bangayi hai shaoore bedari, Dono aalam me ab bhi hai jari, Tere matam ka silsila Zainab.


Baniye majlise aza Zainab.


Tha 'Hasan' isko farz ka ahsas, Hone paya na use qoufo hiraas, Baade Ashoor ban gayi Abbas, Besaharo'n ka aasra Zainab.


Baniye majlise aza Zainab...