Haye Asghar haye Asghar haye Asghar haye Asghar
Bano ke bain the Ali asghar kidhar gaye
Gurbat me maa ko chowd ke dilbar kidhar gaye
Bano ke bain the Ali asghar kidhar gaye
1) Asghar e bezabaa'n , dhoonde tum ko ye maa
Ay mere neem jaa'n, kho gaye tum kaha'n
Hai maa tumhari yaad me , muztar kidhar gaye
Bano ke bain the Ali asghar kidhar gaye.....!
2) Khaali jhula kiye , goud viraa'n kiye
Maa ko tanha kiye , haye tum chal base
Kaise jiyegi Banu e muztar kidhar gaye
Bano ke bain the Ali asghar kidhar gaye.....!
3) Mere shash mahe ko , mujhse cheena gaya
Goud ujdi meri , bas gayi karbala
Sunsaan karke gowd ko dilbar kidhar gaye
Bano ke bain the Ali asghar kidhar gaye.....!
4) Mere ghuncha dahan , mere tashna dahan
Ay mere jaano tan , muntazir hai behen
Hai qaima -e- Hussain me , mehshar kidhar gaye
Bano ke bain the Ali asghar kidhar gaye.....!
5) Maa ko Armaan tha , ghutniyo tum chale
Khake teere jafa , haye tum chal base
Gham me tumhare roti hai , madar kidhar gaye
Bano ke bain the Ali asghar kidhar gaye.....!
6) Lashe Asghar liye , ayengi Fatima
Us ghadi hashr me , hoga mehshar bapa
Kya kya na zulm zahra ke , dil par guzar gaye
Bano ke bain the Ali asghar kidhar gaye.....!
7) Hai tamanna meri , shaah ke dilruba
Naseraane aza , pohnche Karbobala
Matam bapa hai shaah ke dilbar kidhar gaye
Bano ke bain the Ali asghar kidhar gaye.....!
8) Qabr e besheer par , aayi jab Bibiyaa'n
Kyu'n na mout agayi , maa ki thi yeh fughaa'n
Hyder bapa hai shor ke , Asghar kidhar gaye