Kanz e Aza

Bano ki Sada Thi

A noha for Zain-ul-Abedeen (a.s), written by Mehshar Lakhnavi. Lyrics in Roman Urdu.

bano ki sada thi yehi faryad hai faryad

ay sayyede sajjad

kya honge na hum qaide sitam kabhi azad

ay sayyede sajjad


ek roz may taraaj hua mera bhara ghar

kaisa tha muqaddar

socha bhi na tha honge hum is tarha se barbaad

ay sayyede sajjad

bano ki sada thi yehi…


cheh maah ke baysheer ki wo tashna dahani

paaya nahi pani

kya kya na huwe bali sakina pe bhi bedaad

ay sayyede sajjad

bano ki sada thi yehi…


hal min ki sada shaah ne di ran may kayi baar

koi na tha ghamkhar

khanjar se zibha karta raha shaah ko jallaad

ay sayyede sajjad

bano ki sada thi yehi…


maare gaye abbas e alamdar hamare

darya ke kanare

kha kar sina dunya se gaye akbar e nashaad

ay sayyede sajjad

bano ki sada thi yehi…


aada se kaho chaahe meri jaan bhi lele

chadar meri dede

be-parda phiraye na hamay ye sitam ejaad

ay sayyede sajjad

bano ki sada thi yehi…


hum qaid se chutenge watan jayenge kyun kar

akbar hai na asghar

ab wo kahan sughra jinhe karti hai bahot yaad

ay sayyede sajjad

bano ki sada thi yehi…


nauha ho mera aur dare shaah e huda ho

nazim ki sada ho

mehshar ka kalaam ban gaya hai aap ki faryad

ay sayyede sajjad

bano ki sada thi yehi…