tha lab e zainab pa nauha bediyan pairon may hai
kya chale sajjad rasta bediyan pairon may hai
tha lab e zainab pa nauha...
bole abid dafn mai kaise karun kyun kar karun
bekafan baba ka laasha bediyan pairon may hai
tha lab e zainab pa nauha...
do qadam chalte hai gir jaate hai abid kya kare
zor hai tashnalabi ka bediyan pairon may hai
tha lab e zainab pa nauha...
bhai se umeed e hamdardi kare to kya kare
ro ke kehte hai sakina bediyan pairon may hai
tha lab e zainab pa nauha...
boli zainab sayyed e sajjad se ay mere laal
shaam tak tum ko hai jaana bediyan pairon may hai
tha lab e zainab pa nauha...
baad e sarwar dekhiye to abid e beemar ko
aa gaya aisa zamana bediyan pairon may hai
tha lab e zainab pa nauha...
ya ali sajjad ki mushkil kushayi kijiye
hai atash se zard chehra bediyan pairon may hai
tha lab e zainab pa nauha...
de sahara kaun ishrat sayyed e sajjad ko
dard ka seene may naiza bediyan pairon may hai
tha lab e zainab pa nauha...