Kanz e Aza

Bediyan Roti Rahi

A noha for Zain-ul-Abedeen (a.s), written by Hassan Mujtaba. Lyrics in Roman Urdu.

bediyan roti rahi abid e beemaar ke saath

khoon behta raha zanjeer ki jhankar ke saath


khaar chubte rahe paon may qadam jalte rahe

durre khaate rahe sajjad e hazeen chalte rahe

bait paaye na kabhi saaye may deewar ke saath

bediyan roti rahi...


tauqe pur khaar se zaqmi tha gulu e athar

khoon rista tha galay se jo hilaate thay sar

aisa jakda tha gala tauqe garabaar ke saat

bediyan roti rahi...


sar jhukaye hai phupi amma se hai sharminda

chadarein laake udha bhi nahi sakte maula

roo ba roo kaise ho wo zainab lachaar ke saath

bediyan roti rahi...


haye wo itrat e shabbir ka phirna dar dar

arsh walon ne jinhe dekha nahi be chadar

berida kaise gayi fauje sitamgaar ke saath

bediyan roti rahi...


haye abid pe jawani may budhapa aaya

khoon aankhon se bahata raha mera maula

qaid hokar chali maa behne jab aghyaar ke saath

bediyan roti rahi...


shaam ke baad bhi jab shaam koi kehta tha

maula sajjad ki aankhon se lahoo behta tha

gham hai kuch aise judhe shaam ke bazaar ke saath

bediyan roti rahi...


aake majlis may hassan sar ko jhukaye rakhna

roke sajjad ko shabbir ka pursa dena

baithe honge wo kisi sheh ke azadar ke saath

bediyan roti rahi...