be kafan baap ki mayyat se guzara mujhko
kitna ummat ne mere baba sataya mujhko
aablo se mere pairon ke lahoo jaari hai
ek qadam rakhna zameen par bhi mera bhari hai
haye kaanto pe kuch is tarha chalaya mujhko
be kafan baap ki mayyat...
baad phir aap ke aada ne jalaye yun khayaam
jal ke qaime may hi mar jaata shariyat ka imam
jalte qaimon se phuphi jaan ne nikala mujhko
be kafan baap ki mayyat...
saamne mere kaneezi may behen ko maanga
haye saadaat pe ummat ne hai sadqa phaynka
maar daalega mere baba ye sadma mujhko
be kafan baap ki mayyat...
jab kabhi raah may qaidi ne jo paaya saaya
thak ke ek pal ke liye baithna chaaha baba
maar kar durra sitamgar ne uthaya mujhko
be kafan baap ki mayyat...
bediyan payr may langar hai kamar may mere
zauf beemar ke tan may hai chale to kaise
tauq gardan may hai aada ne pinhaya mujhko
be kafan baap ki mayyat...
roke kehti hai mujhe pani pilao bhaiya
mujhko zaalim ke tamachon se bachao bhaiya
hasrat o yaas se takti hai sakina mujhko
be kafan baap ki mayyat...
har kisi baap ki chaahat ye hua karti hai
apne bete se bas umeed yehi hoti hai
gar marunga to pisar dega ye kaandha mujhko
be kafan baap ki mayyat...
bekafan baap ke laashe se guzarta mai tha
aisa lagta tha ke dam mera nikal jayega
iss qadar aap ki ghurbat ka tha sadma mujhko
be kafan baap ki mayyat...
haye danish mere maula ki ghareebi ka samaa
laasha e shaah pe kehta tha ye beta rehan
dard ab aur bhi hai baba uthana mujhko
be kafan baap ki mayyat...