Paoun Me Bediyan Hai Zanjeer Ki Sada Hai
Bimar Nainawa Se Is-tarha Ja-Raha Hai
Sham-e-ghariban Aaye Baade Hussain Aakhir
Bimar –e-karbala Ab Har Gham Utha Raha Hai
Mashk O Alam Uthake Zanheer Ko Sambhale
Darbar-e-wsham Main Ab Bimar Aaraha Hai
Wo Sham Ka Hai Zindan Jiski Sakina Mehmaan
Abid Garib Uska Turbat Banaraha Hai
Ahle Haram Ne Payee Jiske Sabab Rehaee
Chuykar Ye Qafila Ab Karbal Ko Jaraha Hai
Ahle Haram Ke Hamra Abid Garib Aaye
Rona Garib Ka Ab Sabko Rularaha Hai
Saugaht-e-gham Dikhake Rudad-e-garib Sunake
Bewaoun Ka Qafila Youn Chelum Manaraha Hai
Wapas Waran Ko Apne Kunba Ko Apne Khoke
Iqbal Qafila Ab Kehdo Ke Jaraha Hai