AASMAN ROYE ZAMEEN ROYI AMBIYA ROYE
DEKHKAR LASH QASIM KI MUSTAFA ROYE
Lash-e-Noushah Ke Tukde The Jo Ran Me Bikhre
Karke Chadar Me Jama Shah-e-Karbala Roye
Le-Chale Lash-e-Bahtije Ki Uthakar Sarwar
Aisa Manzar Tha Jigar Tham Ke Aada Roye
Lake Qaime Me Litaye Jo Shah-e-Deen Lasha
Shai Ke Hum-Raha Sabhi Aale Mustafa Roye