Dono jahan me barpa hai mehshar
Qasim a.s ke tukde chunte hai sarwar.
Bichi hui hai zehra a.s ki chadar qasim a.s ke tukde chunte hai sarwar.
1) 14 baras ka hone na paya,fouze laeen ne zulm ye dhaaya
Reh gaya laasha pamaal hokar
2)aye hasan a.s hai qulde baree se,poocha paseena sheh ki jabeen se
Zainab a.s hai nikli ghar se khule sar
3)charke kouhan ne zulm ye dhaya, bhai ka laasha bhai ne dekha
Dil ko pakadkar roote hai akber
4) Laashe uthaake dukhte hai bazoo, Behte hai qalbe bekas ke ansoo
Qalbe hazeen ho tukde na kyunkar
Qasim a.s ke tukde chunte hai sarwar, bichi hui hai zehra a.s ki chadar
qasim a.s ke tukde chunte hai sarwar
Dono jahan me barpa hai mehshar
qasim a.s ke tukde chunte hai sarwar