dono jaha'n me hashr bapa hai laashae zahra uth jo raha hai
roohe payambar mehwe buka hai laashae zahra uth jo raha hai
rote hai qudsi arshe baree'n par, qaak saro par apne udaakar
chaai dilo par gham ki ghata hai laashae zahra uth jo raha hai
baade payambar chain na paaya, qaanae zahra haye haye jalaaya
kunba khada sar peet raha hai laashae zahra uth jo raha hai
baap ko apne rone na paaya, daagh ye kaisa dil pa uthaaya
kehke ye har ek peet raha hai laashae zahra uth jo raha hai
betiya'n dono ghash me padi hai, nouha kuna mayyat pe ali hai
ashko ka darya umda hua hai laashae zahra uth jo raha hai
dard se pehlu me thi jo eeza, thaame asaa ko chalti thi zahra
gham ye siwa hum sab ko hua hai laashae zahra uth jo raha hai
sin ka faqat atthara baras ka, gham se jigar ye haal hua tha
waqt se pehle aayi qaza hai laashae zahra uth jo raha hai
band kafan ke toot gaye hai, seene se bache lipte hue hai
arshe quda bhi kaamp raha hai laashae zahra uth jo raha hai