pehlu shikasta fatema kis se kare bayan
dar is tarha giraya ke tooti hai phasliyan
har shab ko apni haal par roti hai fatema
lekin kabhi ali se na shikwa koi kiya
dard e gham pehlu ka sehkar fatema khamosh hai
zakhm ye dekhe na hyder fatema khamosh hai
phasliyan tooti hui hai dard ki hai inteha
kar rahi hai baith kar apni namazo ko ada
kab koi shikwa hai lab par fatema khamosh hai
dard e gham pehlu ka sehkar...
dil pe mohsin ki shahadat ka abhi taaza hai gham
muntazir hai maut ki aur ashk se aankhein hai nam
gham sabhi apne chupa kar fatema khamosh hai
dard e gham pehlu ka sehkar...
khauf hai is baat ka dekhe na chehra murtaza
neel zaalim ke tamacha ka hai bibi ke pada
dard ki tasveer ban kar fatema khamosh hai
dard e gham pehlu ka sehkar...
bazzato minni kaha jis ko nabi e paak ne
haif ke ummat ne har lamha sataya hai usay
qabr mein roye payambar fatema khamosh hai
dard e gham pehlu ka sehkar...
yaas se maadar ko apni dekhte hai mujtaba
ro ke ye baba se kehte hai shahe karbobala
kyun meri awaaz sunkar fatema khamosh hai
dard e gham pehlu ka sehkar...
aa ke ummat ne jalaya fatema zahra ka ghar
dekh kar hyder ko tanha khoon rota hai jigar
qalb pe chalta hai khanjar fatema khamosh hai
dard e gham pehlu ka sehkar...
aayi thi haq lene zahra zulm ke darbar se
kar diye tukde sanad ke be-haya badkaar ne
bikhre tukdon ko utha kar fatema khamosh hai
dard e gham pehlu ka sehkar...
kis tarha rehan koi ghurbate zahra likhe
ye wo mazlooma hai jis par zulm ab tak na ruke
rota hai danish bhi likh kar fatema khamosh hai
dard e gham pehlu ka sehkar...