Kanz e Aza

Hussain Raazi Ho

A noha written by Danish Mirza. Lyrics in Roman Urdu.

hussain raazi rahe fatema rahe raazi

chalo hussain ki mil kar kare azadari

hussain ahle aza ka khuloos dekhte hai

ghame hussain mein hargiz na ho riyakari

yazeediyat se ho nafrat amal hussaini ho

yehi hussain se dar asl hai wafadari


chalo sabeel lagayein hussain raazi ho

sabhi ko pani pilayein hussain raazi ho


karo hussain ka matam bichao farshe aza

tumhare ghar mein bhi aayegi fatema zehra

aza ka farsh bichayein hussain raazi ho

sabhi ko pani pilayein hussain raazi ho

chalo sabeel lagayein...


pilao pani jo dushman bhi maang le pani

kabhi na bhoolna seerat ghareeb e zahra ki

dilon se bughz mitayein hussain raazi ho

sabhi ko pani pilayein hussain raazi ho

chalo sabeel lagayein...


duayein fatema dengi ali dua denge

jo apne bacho ko saqqai hum sikha denge

alam jari ka uthayein hussain raazi ho

sabhi ko pani pilayein hussain raazi ho

chalo sabeel lagayein...


banao ghar mein bhi chota sa ek azakhana

duayein dengi tumhe dil se zainab e kubra

imam baade sajayein hussain raazi ho

sabhi ko pani pilayein hussain raazi ho

chalo sabeel lagayein...


zamana dekh ke bole hussain waale hai

imam e kaun o makan ke qadam pe chalte hai

hayaat aisi banayein hussain raazi ho

sabhi ko pani pilayein hussain raazi ho

chalo sabeel lagayein...


ghame hussain manayein bhula ke gham apne

ho sog dil mein badan par libaas ho kaale

kiya jo waada nibhayein hussain raazi ho

sabhi ko pani pilayein hussain raazi ho

chalo sabeel lagayein...


aza e sheh mein dikhawa na ho riyakari

unhe rumaal mein lele hamari shahzadi

hum aise ashk bahayein hussain raazi ho

sabhi ko pani pilayein hussain raazi ho

chalo sabeel lagayein...


mere imam ne dushman ko da diya pani

gawara kar liya itrat meri rahi pyasi

adoo ko pani pilayein hussain raazi ho

sabhi ko pani pilayein hussain raazi ho

chalo sabeel lagayein...


sabhi ke dil ki tamanna hai danish o rehan

bulayein maula ho pura hamara ye armaan

piyada karbaal jaayein hussain raazi ho

sabhi ko pani pilayein hussain raazi ho

chalo sabeel lagayein...