Kanz e Aza

Hussain Sab Teri

A noha for Imam Hussain (a.s). Lyrics in Roman Urdu.

hussain sab teri qurbaniyo ka sadqa hai

ke aaj tak dile insaniyat dhadakta hai

hussain sab teri…


ghame hussain mein aansu phir uske baad iram

khareed lo ke ye sauda bahot hi sasta hai

hussain sab teri…


mubahile ki ye soorat bata rahi hai hamein

ke panjetan ke muqabil jo aaye jhoota hai

hussain sab teri…


hussainiyat ko lahoo chahiye baqa ke liye

yazeediyat ne phir ek baar sar ubhara hai

hussain sab teri…


usay hussain se nisbat na do khuda ke liye

jo maslehat se ghame sheh mein kaam leta hai

hussain sab teri…


hai kya jawaaz e sitam ay zameene karbobala

ke teen roz se mehmaan tera pyasa hai

hussain sab teri…


elaahi khair kisi ki nazar na lag jaye

zaeef baap ka kadiyal jawan beta hai

hussain sab teri…


jise hussain ne athara saal paala tha

zameen e garm pe wo aediya ragad'ta hai

hussain sab teri…


khudara isko tamache na maar ay zaalim

ye bachi gham ki satayi hui sakina hai

hussain sab teri…


na loot chadare zainab na cheen sar se rida

ye binte zehra hai zaalim ye binte zehra hai

hussain sab teri…