Kanz e Aza

Hussain Shahe Karbala

A noha for Imam Hussain (a.s), written by Fareed Baig. Lyrics in Roman Urdu.

hussain shaahe karbala

hussain deene mustufa

wo deene haq ka khaafila

chala jo suye karbala

yehi hai jaadae wafa

qadam qadam ye thi sada

hussain shaahe…


pahunch ke dashte karbala

luta ke gulshane wafa

khiraj is tarha liya

shikaste zulm ne kaha

hussain shaahe…


hai kaun kaaba e yaqeen

ay jaane khatme mursaleen

wohi hai bas panaah e deen

ye keh rahe hai ambiya

hussain shaahe…


ye zikr hi namaz hai

khuda ko jispe naaz hai

wo sar hi sarfaraz hai

jabeen pa jiski hai likha

hussain shaahe…


tamam shab tha imtehan

yaqeen-o-shaq ke darmiyan

hui jo suboh ki azaan

to hurr ke dil ne ye kaha

hussain shaahe…


utha ke laasha e jawan

chale jo shaahe inso-jaan

na tha koi bhi paasban

magar ye haq ki thi sada

hussain shaahe…


hussain deen panaah hai

bina-e la ilaah hai

kitaab e haq gawah hai

waraq waraq ye hai likha

hussain shaahe…


hazaar koshihe hui

magar na ruk saka kahin

fareed zikre shaahe deen

rahega hashr tak sada

hussain shaahe…