bahaar simt se ahle sitam ne ghayra hai
kahan ho ay mere sheron hussain tanha hai
mere rafeeqon madad-gaar ab chale aao
gira hai bekas o gham-khaar ab chale aao
nahi hai koi taraf-daar ab chale aao
kahan ho ay mere...
kahan ho mere rafeeqon bula raha hai hussain
ke ab zameen pe ghode se aa raha hai hussain
tumhe ye nauha e hal min suna raha hai hussain
kahan ho ay mere...
ye bewafai ye ummat ki daastan hai ajeeb
kiya hai dasht mein farzande mustafa ko ghareeb
kahan ho hurr e dilawar kahan ho mere habeeb
kahan ho ay mere...
ye dashte karbobala ye ajal ka sannata
ye bekasi ki ghata aur ye shor lashkar ka
ye rayge garm ye farzande fatema zahra
kahan ho ay mere...
kisi ke haaton mein khanjar kisi ke hai bhaale
ye dekho toot pade mujh pa barchiyon waale
suno suno ay mere saathiyon mere naale
kahan ho ay mere...
nahi hai paas e adab kuch sitam ki dunya ko
kiya hai teeron ne behaal ibne zahra ko
sitamgaron ne hai ghayra tumhare aaqa ko
kahan ho ay mere...
khabar ye nehr pe jaakar zara sunaye koi
ali ke sher ke shaane zara hilaye koi
mai zibha hota hoo abbas ko bataye koi
kahan ho ay mere...
bilak bilak ke bhatiji tumhari roti hai
utha hai dard judaai ka jaan khoti hai
bas itna kehdo sakina yateem hoti hai
kahan ho ay mere...
likhe jo bain ba-har soorate kamaal likhe
musibaton ki ibadat ghamon ka haal likhe
milay jo aap ka irfan to phir bilal llikhe
kahan ho ay mere...