zindane sitam se ahle aza
aati hai kisi bibi ki sada
sab reha huwe mai qaid mein hoon
mai qaid mein hoon
humraah mere koi na raha
mai aaj bhi hoon tanha tanha
sab reha huwe mai qaid mein hoon
mai qaid mein hoon
maayein phupiyan bhai behne
abbas chacha baba sarwar
mai sab ki chaheeti thi ghar mein
sab jaan chidakte thay mujhpar
ye kaisi chali ghurbat ki hawa
yasrab bhi chuta kunba bhi chuta
sab reha huwe mai qaid mein hoon
mai qaid mein hoon
zindane sitam se...
zindan se meri tanhaai par
sab karte huwe faryad gaye
turbat se meri ruqsat ho kar
khoon rote huwe sajjad gaye
humraah mere koi na raha
mai aaj bhi hoon tanha tanha
sab reha huwe mai qaid mein hoon
mai qaid mein hoon
zindane sitam se...
us qaid mein hoon din raat jahan
wehshat ka basera rehta hai
suraj to nikalta hai lekin
is ghar mein andhera rehta hai
ay kaash koi zaair mera
ek deep jalaade aake zara
sab reha huwe mai qaid mein hoon
mai qaid mein hoon
zindane sitam se...
nazron mein phira karta hai
meri har ek ki chaahat ka manzar
rehti thi chacha ki godhi mein
soti thi padar ke seene par
ghar mera bana zindane bala
aur khaak bani bistar mera
sab reha huwe mai qaid mein hoon
mai qaid mein hoon
zindane sitam se...
har samt parindo se aksar
kehti thi sakina ro ro kar
mujh dukhiya par ehsaan karo
gar karbobala raste mein pade
ek sher taraayi par hoga
us sher se itna keh dena
sab reha huwe mai qaid mein hoon
mai qaid mein hoon
zindane sitam se...
haathon ko utha ke suye najaf
dada se duayein maangte hai
sab mera waseela de de kar
baba se duayein maangte hai
par mera naseeba hai kaisa
chauda sadiyon se ahle aza
sab reha huwe mai qaid mein hoon
mai qaid mein hoon
zindane sitam se...
har waqt andhere daste hai
har aan mujhe darr lagta hai
mai dhoondti hoon jab darwaza
deewaron se sar lagta hai
zindan mein rahun kaise tanha
kul chaar baras hai sin mera
sab reha huwe mai qaid mein hoon
mai qaid mein hoon
zindane sitam se...
nana ka madina choot gaya
kuch aisa laga kismat ko gahan
jab ghoomne phirne ke din thay
us waqt bandhi gardan mein rasan
mai bekas kamsin masooma
kuch bhi to nahi hai meri khata
sab reha huwe mai qaid mein hoon
mai qaid mein hoon
zindane sitam se...
shabbir ke matamdaro ko
ye dard o alam tadpate hai
tehreer e sakina pad pad kar
zawwaron ke dil phat jaate hai
ashkon se bilal e karbobala
zindan ki faseelon par hai likha
sab reha huwe mai qaid mein hoon
mai qaid mein hoon
zindane sitam se...