qulla asalokum alaihe ajran
illal mawaddata fil qurba
mera khitaab hai quran padne waalon se
khuda ke deen ka unwaan padne waalon se
sawaale ajre risalat ko kaise bhool gaye
kitaab yaad hai itrat ko kaise bhool gaye
qulla asalokum...
har ek ehed ke deedar ye jawab to de
tilawaton ke parastaar ye jawab to de
raza e haq ke talabgaar ye jawab to de
shareek e kaar e mashiyat ko kaise bhool gaye
qulla asalokum...
rasoole paak ki mehnat ka waasta jaago
jawab chahiye mujhko mera sawaal suno
nabi ke dosh ki kamli to yaad hai sab ko
saware doshe risalat ko kaise bhool gaye
qulla asalokum...
baghair shamma ke har soo bhatakte parwano
shaoor o fikr ki dunya mein aao deewano
hazaar sajda kiye tumne ay musalmano
batao roohe ibadat ko kaise bhool gaye
qulla asalokum...
wujoode haq ki alamat ko lootne waalon
ameere mulke sakhawat to lootne waalon
khuda ke ghar mein imamat to lootne waalon
nabi se inki kharabat ko kaise bhool gaye
qulla asalokum...
sitam se karz chukaya hai gar to ye bhi batao
nabi ko khoon rulaya hai gar to ye bhi batao
dare batool jalaya hai gar to ye bhi batao
hadees e juz e risalat ko kaise bhool gaye
qulla asalokum...
nabi ne godh se jisko kabhi juda na kiya
nabi ke pehlu mien usko na dafn hone diya
hassan ki laash pe teeron ka abr barsaya
nabi ke laal ki azmat ko kaise bhool gaye
qulla asalokum...
huroofe aayate quran bikherne waalon
nabi ke laal ko jangal mein gherne waalon
gulu e shaah pe talwaar pherne waalon
nabi ki beti ki mehnat ko kaise bhool gaye
qulla asalokum...
pisar ko bano e muztar ke maarne waalon
zameen se khoon ke chashme ubhaarne waalon
jawan ke seene mein barchi utaarne waalon
rasool e haq ki shabahat ko kaise bhool gaye
qulla asalokum...
basar andheron mien hote hai jinke shaam o sahar
dilon mein jinke hai aamir adawat e sarwar
bilal unse zara ye to poochiye bad kar
kalaame paak ki aayat ko kaise bhool gaye
qulla asalokum...