tanha sar e dasht e bala dar safe aada
farzand e nabi jaan o dil e fatema zehra
tayghon ki chamak gham ki ghata teeron ki bauchar
uff mere imamat hai sar e nargha e kuffaar
hai kaun jo mazloom ko de bad ke sahara
farzand e nabi jaan o dil e fatema zehra
tanha sar e dasht e bala...
jo quwwate baazu hai juda ho gaye mujhse
bhai hai mere pass na bete na bhatije
kis dil se karoo aah mai jeene ki tamanna
farzand e nabi jaan o dil e fatema zehra
tanha sar e dasht e bala...
suraj hai sawa naize pe garmi hai hawa mein
lagta hai ghuli aag hai maqtal ki fiza mein
ye hashr ka hangam ye seh roz ka pyasa
farzand e nabi jaan o dil e fatema zehra
tanha sar e dasht e bala...
is jism se maqtal ki sharrar baar hawaein
takra ke nikal jaati hai us par hawaein
is tarha se teeron ne mere jism ko cheda
farzand e nabi jaan o dil e fatema zehra
tanha sar e dasht e bala...
zainab ko jo dekha to shah e dilgeer pukare
honton ke ishare se ye shabbir pukare
bhai abhi zinda hai na niklo abhi behna
farzand e nabi jaan o dil e fatema zehra
tanha sar e dasht e bala...
talwar chalata hai koi naiza o khanjar
kuch pass nahi jin ke wo barsate hai pathar
sab jaan ke dushman hai yahan kain hai apna
farzand e nabi jaan o dil e fatema zehra
tanha sar e dasht e bala...
seene pe sina khaye huwe soye hai akbar
pamaal sar e dasht huwe qasim e muztar
dam tod gaya haathon pe baysheer hamara
farzand e nabi jaan o dil e fatema zehra
tanha sar e dasht e bala...
kalme hai yehi tez hawaein ki zaban par
shabbir jalaate hai charaghon ko jahan par
dekha gaya suraj ki bhi aankhon mein andhera
farzand e nabi jaan o dil e fatema zehra
tanha sar e dasht e bala...
yun door watan se kisi jangal mein elaahi
is tarha na aaye kisi kunbe pe tabaahi
jis tarha se mabood bhara ghar mera ujda
farzand e nabi jaan o dil e fatema zehra
tanha sar e dasht e bala...
qismat jo kare rauza e mazloom pe haazir
paigham e bilal aaqa se keh dijiyo aamir
shayar bhi tumhara hai ye zaakir bhi tumhara
farzand e nabi jaan o dil e fatema zehra
tanha sar e dasht e bala...