Shabbir ke Maatam me lahu apna baha le
Is dard se ehsaas ki duniya ko saja le
Ye zakhm nahi'n phool hain seene se lagale
Is raah pa chal daolat e Imaa'n ko bachale
Jeene ka sahara Gham e Sarwar ko bana le
Taqdeer badal jaaegi Zehra ki Dua le
Girte huwe Qasim ne Chacha ko jo pukaara
Shabbir ne Dulha ko ajab haal me dekha
Tha jism jo paamaal aba me usse rakha
Masnad pa rakha Shah ne Naoshah ka Laasha
Ab kaun hai jo Fatima Kubra ko sambhaale
Taqdeer badal jaaegi Zehra ki Dua le
Jab Akbar e Zeeshan ne phal barchhi ka khaaya
Kya sabr ka andaaz jaha'n ko nazar aaya
Ye hosla duniya me Kisi ne nahi'n paaya
Sarwar ke siwa kaunsa banda hai Khudaya
Bete ke kaleje se jo barchhi ko nikaale
Taqdeer badal jaaegi Zehra ki Dua le
Do Bhai jo mare gaye ek hashr bapa hai
Gham Aun 0 Mohd ka har ek Maa ko hua hai
Har simt faqat girya o Maatam ki sada hai
Lekin Lab e Zainab pa faqat ek Dua hai
Sab Qatl ho'n par Tu MereBhai ko bacha le
Taqdeer badal jaaegi Zehra ki Dua le
Maidaan me be dast Alamdar pada hai
Ab Shah ko tanhaai ka ehsaas hua hai
Khaime me Alam aaya hai ek hashr bapa hai
Ammu jo nahi'n aaye Bhatiji ko gila hai
Aye Pyaas Sakina ko kaleje se laga le
Taqdeer badal jaaegi Zehra ki Dua le
Shabbir ke haathon pa hai Maasoom ka Laasha
Phailaaye huwe haath khadi ha koi Dukhiya
Be chain hai Maa bachche ko De Dijiye Moula
Reh jaaye na ghut kar Dil e Maadar me tamanna
Ek baar wo Besheer ko jhoole me jhala le
Taqdeer badal jaaegi Zehra ki Dua le