Kanz e Aza

Teero ke musalle par wo sajdae shukraana

A noha for Imam Hussain (a.s). Lyrics in Roman Urdu.

Teero ke musalle par wo sajdae shukraana

Shabbir ne sikhlaaya islaam pe marjaana

Kuch is tarah laash aayi ek raat ke byaahe ki

afsos ke maadar ne bete ko na pehchaana


Barchi ali akber ke seene se nikal aayi

dekha na gaya sheh se yu'n dil ka nikal aana

Ye maa ki wasiyyat thi abbase dilaawar ko

Jab deen pa ban aaye tum jaan fida karna


Laashe ali akber ko hatho'n pa utha bole

haazir hai mere allah shabbir ka nazraana

Soncho to musalmaano ye baat koi kam hai

Ahmad ki nawaasi ka darbaar me aa jaana


saidaaniyo ka us waqt kya haal hua hoga

masoom ka ro ro kar zindaan me mar jaana

Ek teer ali asghar ki gardan pe laga aakar

Masoom ka has dena aur mout ka ghabraana