hussain tera lahoo rayegan na jayega
behen ka waada hai ye rang zaroor layega
har ek zaban pe tera zikre paak hi hoga
jahan mein dekhna ek waqt wo bhi aayega
hussain tera lahoo...
tujhe zamane mein apne paraye royenge
sajjad teri wo mazloomiyat batayega
hussain tera lahoo...
sada ghareebi ki tanha hi jab tu deta raha
mujhe to tera wo manzar bahot rulayega
hussain tera lahoo...
na be-namazi kahega tujhe koi bhi hussain
na tujhpe baaghi ki tohmat koi lagayega
hussain tera lahoo...
sajjad zinda rahega jahan mein jab tak
ameer aansu lahoo ke hi wo bahayega
hussain tera lahoo...