tha yeh zainab ka bayan aye mere mazloom hussain
tujh ko dhundoon mein kahan aye mere mazloom
hussain
1. aakhri saans talak saath rahi tashnalabi
khushq the hount tere aur zuban sukhi huwi
aye zameen ta ba falak teri nigahon mein rahi
tashnagi ban ke dhuwan aye mere mazloom
hussain
2. dhoop mein tujhko kabhi maa ne nikalne na diya
apni chadar ka sada sar pe tere saya kiya
khoon mein duba huwa ab tera be sar laasha
hai sare reg e tapan aye mere mazloom hussain
3. kanpi maqtal ki zameen aur falak tharraye
amibiya-o-malak-o-jin-o-bashar rone lage
ya ali kehke jo seene se ali akber ke
tumne khainchi hain sina aye mere mazloom hussain
4. chayi is tarha kizah koi gule tar na raha
qasim-o-aun-o-muhammed ali akber na raha
jo tha parde ka mohafiz wo baradar na raha
hein haram nauha kuna aye mere mazloom
hussain
5. roze ashoor se har waqt main aazaar mein hoon aur rasan basta kabhi kocha-o-bazaar mein hoon
kaisa andher hain mein shaam ke darbar mein hoon
lab pa hain aaho fughan aye mere mazloom hussain
6. qabr zindan mein sakina ki bana aayi hoon
taziyanoo ki aziyat bhi utha aayi hoon
reesma zulm ke baazu pa bandha ayi hoon
dekho baazo ke nashan aye mere mazloom hussain
7. meri ankhon mein abhi tak hain manazir sare
tune ek din mein uthaye hain sabhi ke laashe
laash ko teri uthaya na koi maqtal se
dil pa chalti hain sina aye mere mazloom hussain
8. roz-e-ashoor thi har lamha qayamat barpa
khoon rulata tha guzarta huwa har ek lamha
itna roya ke kaha tune khatilul abara
yaad hain tera bayan aye mere mazloom hussain
9. baad besheer ke badhta gaya tanhayee ka gham
paas koi bhi na tha tere ba juzz ranjo alam
auw samay tum be ghareebin ki sada se payham
teri ghurbat hain ayan aye mere mazloom hussain
10. shaam-e-gham chagaye umeed sahar tooth gayi
jo muhafiz tha haram ki wo sipar tooth gayi
haath ghazi ke kate teri kamar tooth gayi
ab nahi tujh ko amman aye mere mazloom hussain
11. kab talak ranjo musibat mein rahoon mein bolo
apni humsheer ka ahwal zara dekh to lo
aise zindaan mein hoon khaid jaha par din ko
shab ka hota hain gumah aye mere mazloom hussain
12. dil se razvi bhi hain pushtaini azadar tera aur har waqt wo karta hai tera ghum barpa
nouha khawni ka sharaf bhi usse tune baksha
uski urfat hai ayan aye mere mazloom hussain