Kanz e Aza

Thi Karbala Mein Haq

A noha for Imam Hussain (a.s), written by Mehshar Lakhnavi. Lyrics in Roman Urdu.

thi karbala mein haq ko zaroorat hussain ki

lagti watan mein kaise tabiyat hussain ki


teeron ki chaon mein wo imamat hussain ki

ran me sipar bani hai jama'at hussain ki

thi karbala mein…


hurr baar baar kehta tha dum todte hue

jee bhar ke kar saka na mai nusrat hussain ki

thi karbala mein…


daaman chuda sake na sakina se shaahe deen

ruqsat ke waqt ghair thi haalat hussain ki

thi karbala mein…


maqtal mein jab sakina ne baba ko di sada

tadpi tadap ke reh gayi mayyat hussain ki

thi karbala mein…


aaya hai tumse qaid my milne sare hussain

utho sakina karlo ziyarat hussain ki

thi karbala mein…


umme rabab saaye mein baithi na umr bhar

roti thi yaad karke musibat hussain ki

thi karbala mein…


cheenega kaun tujhse zamane mein jeete ji

mehshar tera qalam hai amanat hussain ki

thi karbala mein…