Kanz e Aza

Ya Ali Adrikni

A noha written by Mehshar Lakhnavi. Lyrics in Roman Urdu.

dasht may looti gaye aale rasoole madani

ya ali adrikni ya ali adrikni

haye be aab huwe qatl hussaini hassani

ya ali adrikni ya ali adrikni


dasht wo tapta huwa dhoop may aal-e-abaa

khaak pe baitha huwa karta hai ro kar buka

kaisi taqdeer may likhi thi gharibul watani

ya ali adrikni...


shaah ka wo nusrati kaisa huwa jannati

zaanu e sibte nabi aur sare hurr e jari

koi hurr jaisa nahi dunya may qismat ka dhani

ya ali adrikni...


fatema zehra ka laal pyaas se ran may nidhaal

aata hai aksar khayal kis se karoo ye sawaal

maalike kausar-o-tasneem ye tashna dahani

ya ali adrikni...


bacha bhi cheh maah ka pyaas se tadpa kiya

teere sitam kya chala chid gaya nanha gala

teer seh pehlu aur asghar ki ye ghuncha dahani

ya ali adrikni...


kehti thi rokar ye maa haye mera be-zuban

haye ye nanhi si jaan toota na kyun aasman

ye sitam aur mere asghar ki ye nazuk badani

ya ali adrikni...


haye wo kadiyal jawan gir pada kha kar sina

ro diya ye aasman baap ka azme jawan

shahe deen khaynchte hai seene se barchi ki ani

ya ali adrikni...


laash pe kehti hai maa ay mere kadiyal jawan

saal tha atharwan haye ye zakhme sina

dekhiye aa ke jawan laal ki gul pairahani

ya ali adrikni...


sayed-e-abraar hai nargha-e-kufaar hai

dar paye aazaar hai teeron ki bouchaar hai

jism shabbir ka teeron se hai chalni chalni

ya ali adrikni ...


zainab-e-aali muqam tumpe hai laakhon salaam

ummat-e-khairul anaam khoob kiya ehteraam

berida saani e zehra huwi baazu rasani

ya ali adrikni ...


ya mere mushkil kusha khalq ke haajat rawa

aap pe mehshar fida kardo ishara zara

sang reze abhi hojayenge laale yamani

ya ali adrikni...