Kanz e Aza

Yarab Ye Iltemas

A noha written by Mehshar Lakhnavi. Lyrics in Roman Urdu.

ya rab ye iltemas teri janab may

mujhko milaade khaake dare bu turab may


haasil nahi hai misle ali sab ko martaba

garche baargahe risalat maab may

ya rab ye iltemas...


noore ali may noore mohamed may farq kya

hai aaftab hai ke deha mahtaab may

ya rab ye iltemas…


jhoole may keh rahe thay ye tewar sagheer ke

zinda rahe to dekhna ahde shabab may

ya rab ye iltemas…


qasim ke jisme paak se jo ran may beh gaya

wo khoon aagaya hai simat kar gulab may

ya rab ye iltemas…


ek teer to nikal gaya asghar ke halq se

paywast ek teer hai qalbe rabab may

ya rab ye iltemas…


ahle haram ke pyas may shiddat thi is khadar

itni tapish na hogi kabhi aaftab may

ya rab ye iltemas…


zehra ke ghar ko yaad kare roye zaar zaar

jiska tabaah ghar ho kisi inquilaab may

ya rab ye iltemas…


bas wo fishare qabr se mehshar bachayega

jisne shagaaf daal diya maahtab may

ya rab ye iltemas…