Kanz e Aza

Zamane May Koi Ho

A noha for Imam Ali (a.s), written by Mehshar Lakhnavi. Lyrics in Roman Urdu.

zamane mein koi ho nafse paighambar to hum jaane

ali ki baat kya holay koi qambar to hum jaane


hai daawa jaanisari ka bahot islam walon ko

dikhaye rahe haq deke apna sar to hum jaane

zamane mein koi ho…


baghair e hubbe hyder jo nabi ke ishq mein doobe

nikal kar hum ko dikhlaye labe kausar to hum jaane

zamane mein koi ho…


hai pehra alqama par aaj tak abbas e ghazi ka

zara koi parinda maar to le par to hum jaane

zamane mein koi ho…


pahado ke bhi hil jaate hai dil naam e ali sunkar

kisi ke naam par hil jaye kankar to hum jaane

zamane mein koi ho…


kaha karti thi zainab hai hamara sher sa bhai

dikhaye sar se koi cheen kar chadar to hum jaane

zamane mein koi ho…


ye zainab ka kaleja tha ye zainab hi ki himmat thi

galay par bhai ke dekhe koi khanjar to hum jaane

zamane mein koi ho…


tu shayar hai shahe deen ka tujhe kya khauf hai mehshar

farishte aaye tere qabr ke andhar to hum jaane

zamane mein koi ho…